سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں

Urdu Poetry

سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں 

 سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں 

تو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے ربط ہے اسکو خراب حالوں سے

 سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں 

سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اسکی 

سو ہم بھی اس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے اسکو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف

 تو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں 

سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں

 یہ بات ہے تو چلو بات کرکے دیکھتے ہیں

سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہے

 ستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے دن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیں

  سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے حشر ہیں اس کی غزال سی آنکھیں 

سنا ہے اسکو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اسکی

 سنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے اس کی سیاہ چشمگی قیامت ہے

 سو اسکو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں

 سو ہم بہار پہ الزام دھر کے دیکھتے ہیں

 سنا ہے آئینہ تمثال ہے جبیں اسکی

 جو سادہ دل ہیں اسے بن سنور کے دیکھتے ہیں

 بس اک نگاہ سے لٹتا ہے قافلہ دل کا 

سو راہ روانِ تمنا بھی ڈر کے دیکھتے ہیں 

رکے تو گردشیں اسکا طواف کرتی ہیں 

چلے تو اسکو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں 

کہانیاں ہی سہی سب مبالغے ہی سہی

 اگر وہ خواب ہے تو تعبیر کر کے دیکھتے ہیں 

اب اسکے شہر میں ٹھہریں کہ کوچ کرجائیں 

فراز آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں

suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain


suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain

to is ke shehar mein kuch din thehr ke dekhte hain

suna hai rabt hai usko kharab haloon se

so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

suna hai dard ki gahak hai chasham naaz uski

so hum bhi is ki gali se guzar ke dekhte hain

suna hai usko bhi hai shair-o-shairi se shughaf

to hum bhi moajezae apne hunar ke dekhte hain

suna hai bolay to baton se phool jhartay hain

yeh baat hai to chalo baat karkay dekhte hain

suna hai raat usay chaand taktaa rehta hai

setaaray baam fallak se utar ke dekhte hain

suna hai din ko usay titliyan satati hain

suna hai raat ko jugno thehr ke dekhte hain

suna hai hashr hain is ki Ghazaal si ankhen

suna hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hain

suna hai raat se barh kar hain kaaklain uski

suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain

suna hai is ki siyah chashmagi qayamat hai

so usko surma farosh aah bhar ke dekhte hain

suna hai is ke labon se ghulaab jaltay hain

so hum bahhar pay ilzaam dhar ke dekhte hain

suna hai aaina Tamsaal hai jabeen uski

jo saada dil hain usay ban sanwar ke dekhte hain

bas ik nigah se lut'ta hai qaafla dil ka

so raah rwanِ tamanna bhi dar ke dekhte hain

ruke to gardishen uska tuwaf karti hain

chalay to usko zamane thehr ke dekhte hain

kahaniyan hi sahi sab mubalghe hi sahi

agar woh khawab hai to tabeer kar ke dekhte hain


ab uskay shehar mein thareen ke kooch karjayen

faraz aao sitaaray safar ke dekhte hain

Post a Comment

0 Comments