Sad Urdu Poetry-Qeemti Batein

Sad Urdu Poetry

Mohsin Naqvi Poetry

تجھے اُداس بھی کرنا تھا، خود بھی رونا تھا

یہ حادثہ بھی میری جاں، کبھی تو ہونا تھا

جو داستاں اُسے کہنی تھی پھر ادھوری رہی

 کہ میں بھی تھک سا گیا تھا اُسے بھی سونا تھا

 وہ مجھ کو توڑ کے پھر جوڑتا رہا ہر پل

 میں اس کے ہاتھ میں جیسے کوئی کھلونا تھا

 سنبھل سنبھل کے میں روتا رہا کے فرقت میں

 جگر کا داغ مجھے آنسوؤں سے دھونا تھا

 میں تخت ابر پہ سویا تھا رات بھر محسن

 کھلی جو آنکھ تو صحرا میرا بچھونا تھا

Sad urdu ghazal

Tujhe udas bhi karna tha, khud bhi rona tha,

Yeh haadsa bhi meri jaan, kabhi to hona tha

Jo dastan ussay kehni thi phir adhuri rahi

ke mein bhi thak sa gaya tha ussay bhi sona tha

Woh mujh ko toar ke phir jorta raha har pal

mein is ke haath mein jaisay koi khilona tha

Sambhal sambhal ke mein rota raha ke furqat mein

jigar ka daagh mujhe aansuon se dhona tha

Mein takhat-e-abr pay soya tha raat bhar mohsin

khuli jo aankh to sehraa mera bichona tha





Post a Comment

0 Comments