غم کی بارش نے بھی تیرے نقش کو دھویا نہیں
تو نے مجھ کو کھو دیا میں نے تجھے کھویا نہیں
نیند کا ہلکا گلابی سا خمار آنکھوں میں تھا
یُوں لگا جیسے وہ شب کو دیر تک سویا نہیں
ہر طرف دیوارودر اور ان میں آنکھوں کے ہجوم
کہہ سکے جو دل کی حالت وہ لبِ گویا نہیں
جرم آدم نے کیا اور نسلِ آدم کو سزا
کاٹتا ہوں زندگی بھر میں نے جو بویا نہیں
جانتا ہوں اک ایسے شخص کو میں بھی منیر
غم سے پتھر ہو گیا لیکن کبھی رویا نہیں
gham ki barish ne bhi tairay naqsh ko dhoya nahi
tu ne mujh ko kho diya mein ne tujhe khoya nahi
neend ka halka gulaabii sa khumar aankhon mein tha
Yun laga jaisay woh shab ko der tak soya nahi
har taraf deewar-o-dar aur un mein aankhon ke hujhoom
keh sakay jo dil ki haalat woh lab-e-goya nahi
jurm aadam ne kya aur nasl-e-aadam ko saza
kaaTta hon zindagi bhar mein ne jo boya nahi
jaanta hon ek aisay shakhs ko mein bhi Munir
gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahi
0 Comments