Allama Iqbal Poetry
(علامہ اقبال )
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں
قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں
اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں
تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں
گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں
sitaron se agay jahan aur bhi hain
abhi ishhq ke imtehan aur bhi hain
tahi zindagi se nahi yeh fizayen
yahan sekron karwan aur bhi hain
Qanaat nah kar aalam-e-rang o boo par
chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain
agar kho gaya ik nasheman to kya gham
maqamat aah-o-fughan aur bhi hain
to shaheen hai parwaaz hai kaam tera
trey samnay aasmaan aur bhi hain
isi roz-o-shab mein ulajhh kar nah reh ja
ke tairay Zaman-o-makan aur bhi hain
gaye din ke tanha tha mein anjuman mein
yahan ab marey raazadan aur bhi hain