کبھی رُک گئے کبھی چل دئیے
کبھی چلتے چلتے بھٹک گئے
یونہی عمر ساری گزار دی
یونہی زندگی کے ستم سہے
کبھی نیند میں کبھی ہوش میں
تُو جہاں ملا تجھے دیکھ کر
نہ نظر ملی نہ زباں ہلی
یونہی سر جھکا کے گزر گئے
کبھی زلف پر کبھی چشم پر
کبھی تیرے حسیں وجود پر
جو پسند تھے میری کتاب میں
وہ شعر سارے بکھر گئے
مجھے یاد ہے کبھی ایک تھے
مگر آج ہم ہیں جدا جدا
وہ جدا ہوئے تو سنور گئے
ہم جدا ہوئے تو بکھر گئے
کبھی عرش پر کبھی فرش پر
کبھی اُن کے در کبھی در بدر
غمِ عاشقی تیرا شکریہ
ہم کہاں کہاں سے گزر گئے
In Roman
Kabhi ruqq gaye kabhi chal diye
Kabhi chaltay chaltay bhatak gaye
Yuhin Umar saari guzaar di
Yuhin zindagi ke sitam sahe
Kabhi neend mein kabhi hosh mein
Too jahan mila tujhe dekh kar
Nah nazar mili nah zuba hili
Yuhin sir jhuka ke guzar gaye
Kabhi zulff par kabhi chasham par
Kabhi teray haseen wujood par
Jo pasand thay meri kitaab mein
Woh shair saaray bikhar gaye
Mujhe yaad hai kabhi aik thay
Magar aaj hum hain judda judda
Woh judda hue to sanwar gaye
Hum judda hue to bikhar gaye
Kabhi arsh par kabhi farsh par
Kabhi unn ke dar kabhi dar badar
Gham-e-aashiqii tera shukriya
Hum kahan kahan se guzar gaye
qeemit batin website follow kar diya
Gaminginfio076 followers 155
Qeemit batin website followers 1